From: supriya amber <supriya.amber@gmail.com>
Date: 2011/1/28
Subject: about the Drama incident in Bhopal
To: pvchr.india@gmail.com
PEER PARAAI Vibha Rani ka likha ek Natak hai jiske liye Ramayan ko adhar nahi banaya gaya hai balki Bihar ke maithil me gaijaane wali ek sohar par adharit hai jisme Ram ke janam par ek Hiran ke bacchhe ka maans paka kar bantaa jaata hai aur Hirni apne bacchhe ke bali chadhne ko lekar apni peeda ko Kaushalya se vyakt karti hai jiska bada hi marmik natya rupantaran kiya hai. baad me Hirni apne bacchhe ki khaal ko lene ke liye Kaushalya ke paas aati hai magar Kaushalya use bhi ye keh kar nahi deti hai ki apne chakravarti samrat ke liye choti si kurbani nahi kar sakti hai? tere jaison ke aulaadon ki aukat hi kya hai. aur us khaal ki khanjri banwa deti hai jisase Ram khelenge. Hirni Kaushalya ko kehti hai ki raani duusaron ki peeda ko samjho, tum bhi to maa ho. uske baad samay beetata hai aur Ram ko vanvas ho jaata hai tab Hirni aati hai aur raani se kehti hai ki aaj tum mera dukh samajh paaogi. saath hi is pure natak me jo mukhya sandesh diya gaya hai wo ye hai ki Raja ko hamesha praja ke liye tatpar rehna chahiye, usase taal baithana chahiye aur praja ke dukh aur zarorat ko apna kartavy ko samajhna chahiye. kulmila kar is natak se aaj ki janta ke prati netaaon/Sarkar ka dayitav chitrit kiya gaya hai jiski zarurat ab sarkaaren mehsoos nahi karti jiska pramaan Bharat Bhawan me hi mil gaya.
ye tha pure natak ka vivran Jo Ki Bhopal me Bharat Bhawan nyaas ke rangmandal ne mahila Nirdeshkon par adharit natakon ke liye Vivechana Rangmandal jabalpur ko Rashtriya Natya Samorah me Amantrit kiya tha. naatak shuru hue abhi 15 min hue the ki RSS Bajrang dal aur BJP ke lagbhag 30-35 log "Bharat mata ki jai, Ram ke naam par ye sab nahi chalega, ram ka apmaan nahin sahenge, Sanskriti ke saath khilwad bardasht nahi karenge" ke nare lagate hue ghus aaye aur set ko tod for diya jisase music pit par baithey kai log baal baal bach gaye. uske baad lagataar unlogon ne naatak band karo ke naare lagaaye public ne oppose kiya ki - kya aaplog ab ye tay karenge ki hame kya dekhna hai? aur lagataar badi bahas hui magar vo log nahi jaa rahe the uske baad mai beech me pahunch gai aur kaafi sangharsh kiya mere husband jo ki Artist aur journalist hain aur us natak ke Art director bhi humdonon ne public ke saath milkar unhe bahar bhagaya. aap yakeen nahi karenge wo log kaafi sharaab pi kar pahunche the jinme se ek Rajesh Bhadauriya BJP ke Sanskritik Prakoshth ke sanyojak tha sabse zada badtmeezee kar raha tha. jab unlogo ko khadeda gaya naatak shuuru hua mushkil se 20 min aur hue the ki Bharat Bhawan ke bahar badi tadaad me sanskriti bachao manch jo ki BJP ka hi prakoshth hai saath hi Bajrang dal ke karyakarta nashe me chuur hokar police force ke saath pahunche aur Natak ko band karane ke liye Director par dabaaw banaya. bahut samjhane par bhi nahi mane aur ye kaha ki agar aap natak band nahi karoge to hum bheed ko andar jaane se rok nahin paayenge aur phir aapki zimmedari hogi jo kuch bhi hoga uske liye, ye police ke ala afssaron ne kaha. aur majbooran kisi bhi security ke abhav me aur shashan ke dabaaav me naatak ko band karna pada. jab se Bharat bhawan bana hai tab se ab tak ye pehli baar Antarang Sabhaagar me police pahunchi thi.
humlogo ne turant pure media ko iski jaankaari di aur lagbhag Bhopal me sabhi jagah iski coverage mili. ye puri ghatna 21/1/2011 friday ki hai.
is pure ghatna me sangharsh karte waqt meri god me mera beta Bigul bhi tha jo abhi 2 1/2 saal kaa hai usne is naatak me Raam ke bachpan ki bhumika ada ki hai wo sabkuch dekh raha tha mehsoos kar raha tha. jab humlog wahaan se bus se waapas laute to bus se utarte hi usne unsabhi team ke logon ko kaha " CHUPPI SABSA BADA KHATRA HAI ZUNDA AADMI KE LIYE, ISLIYE BOLO, ZINDABAAD ZINDABAAD INQLAAB ZINDABAAD."
--
Executive Director-PVCHR/JMN
Mobile:+91-9935599333